Aap agar koi karobar own karte hain tou Zakat dena zaroori hai. Jis tarah hum apni personal wealth pe Zakat dete hain usi tarah apne karobar pe bhi Zakat dena zaroori hai. Zakat dena zaroori hai kyun k is na sirf individuals ko but recipients aur society ko bhi faida hota hai. Is k ilawa Zakat dene se society se gareebi ko kam krne mein madad milti hai. Zakat har karobar k hisaab se alag calculate hoti hai. Jese kiryana store ka owners apni dukan mein majood mukhtalif products pe Zakat calculate krte hain jab k electronic store k owners electronic items pe Zakat calculate krte hain. Ksi bi karobar mein trade k liye use hone wale stock pe Zakat dena zaroori hai. Jis mein land bhi include hota hai jou resale k liye lia gaya ho. Is k ilawa cash, finished good aur raw material pe bhi zakat di jati hai.
Zakat year us date se shuru hota jis date ko aap k pas nisab se zyada wealth hojati hai. Zakat dene k liye ksi k pas aik makhsoos had se zyada wealth honi chahiye jise nisab kehte hain aur nisab maloom krne k liye 2 tareeqay hain: gold ya silver. Gold k hisaab se dekhain tou ager apkay karobar ki qul maliyat 3-ounce gold ya us ki value k braber cash se zyada hai tou us per zakat de jani chahiye. Isi tarhan se agr silver k hisaab se dekhain tou ager apkay karobar ki qul maliyat 21-ounce silver ya us ki value k braber cash se zyada hai tou us per zakat de jani chahiye
Owner apne karobar ki total wealth boht aasani se nikal skte hain. Agr total wealth nisab se zyada ho tou us pe owner ko 2.5% Zakat deni hogi. Zakatable assest mein sb asset jese k gold, silver, cash aur receivables include hote hain. Is k ilawa investments jese shares aur business assets jo resell ki niyat se khareede gaye hoon un sb pea zakat dena zaroori hai. Udhaar Digi khata use kr k karobar k owner asaani se Zakat calculate kr skte hain. Kiyun k Udhaar Digi khata mein Zakat calculator ka feature bhi hai js se owner asaani se Zakat calculate kr skta hai.