Kia aap koi business ya dukaan chala rahe hain? Jese kiryana store, medical store, sabzi ki dukaan, mobile ki dukaan, mechanic ki dukaan, stationary shop, ya kuch or?
Agar han, to ap ko Udhaar ka masla zarur pesh ata hoga jab customers choti bari chezen Udhaar par le jate hain lekin kisi waja se lotana bhool jate hain.
Aj kal ke dukaandar ka sab se bara masla Udhaar ki bila muawza rakam hai jo customer lotana bhool jate hain ya waqt par wapas nahi karte. Ab zahir se baat hai, 1 akela dukaandar jo pura din mehnat karta hai wo kis tarah 50 se zaid customers ki Udhaar rakam ko yad rakhe ga? Is soorat-e-haal mai kisi ko to nuqsaan Uthana hai na!
Bad-kismati se, ye nuqsaan uthane wala or koi nahi balke hamara taajir hai jo ke 1 choti se dukaan ka malik hai. Ye wohi taajir hai jo customers ke rozana rakam lotane ka muntazir hota hai. Ye wohi taajir hai, jo mehnat kar ke kuch pese ikhatta karta hai or apne piyaron ka pait palta hai.
Is maslay ke hamare pas 2 hal hain:
Ya to hum Udhaar dena band karden or ye kissa hi khatam karen. Asaan hal hai, par nataij bohot bure ho sakte hain. Jese, ap ke wo customers jo sirf Udhaar par kharidari karte hain, ap ko khuda hafiz kahen or us dukaan se kharidari karen jahan Udhaar ki sahoolat mojood hai.
Dusra hal ye hai ke is Maslay ko apne faide ke liye istamal karen
Khush khabri ye hai ke jadeed technology ne is maslay ka hal bhe nikal liya hai. Is masle ko madd-e-nazar rakhte hue, hamare apne Pakistani developers ne 1 Udhaar management App banai or naam rakha “Udhaar App”.
Udhaar App kya hai?
Udhaar 1 free app hai jis se ap ko dukaan par khatabook ya register ki zarurat nahi parti.
Ye app udhaar ko manage karti hai ap k mobile phone par or customers ko free sms bhe bhej sakte hain automatic, Udhaar waapsi k lye.
Jese koi shop keeper jo udhaar pr lain dain karte hon, wo is App se bharpur faida utha sakte hain.
Aen, is App ke mazeed fawaid par nazar daalte hain.
Udhaar App ki Khususiyat
Udhaar App ke sath, Udhaar ki waapsi ab koi bara masla nahi. Ab ap apna Udhaar wasool kar sakte hain 10 guna jaldi, or bina kisi nuqsaan ke.
- Udhaar Reminder SMS
Ab customers ko bar bar yad dilane ki zarurat nahi. Udhaar App se bhejen free SMS reminders sim ya whatsapp ke zariye. Agar auto sms customer ko pasand nahi, to apni marzi ka piyar bhara SMS bhejen, jis mai Udhaar details, saman ki details or Udhaar wapsi ki tareekh mojood ho.
- Reports & Account
Ab chalte phirte apna business manage karen. Reports check karen, Udhaar balance check karen kisi bhe waqt, kahi bhi, or kisi bhe mobile phone par.
- English, urdu or Sindhi zuban mai
Apne piyare customers se bilkul is tarah raabta karen jis tarah un se mil kar baat karte hain
- Data Backup
Online or offline kaam karen bager kisi fikr ke. Dukan band karte waqt apna internet kuch seconds ke lye on karen takey ap ka data internet par save hojae or bus, phir ap ke khatey ki zimedari Udhaar App ki.
Ye baat hamesha yad rakhen, jab whatsapp App, jis ke bager hamara guzara nahi hai, launch hui thi, to lohon ne isse bhe kafi time tak nazar andaz kia. Lekin bahr-haal phir samaj gae.
Apne aas-paas technology ka istamal karen or apna kaam asaan banae. Abhi Udhaar App download karen or apna Udhaar wasool karen minton mai.