Skip to content

Udhaar App Dusri Khata Apps Se Kis Tarah Behter Hai

Udhaar App Dusri Khata Apps Se Kis Tarah Behter Hai

Udhaar App Dusri Khata Apps Se Kis Tarah Behter Hai

Apni dukaan ka lain dain or munafa barhane ka sab se acha tarika hai ke 1 digital credit management system ko khush-amdeed kahen. Dukaan ka Udhaar sar ka dard ban sakta hai jab ap bhool jaen kisne – kis din – kitna udhaar par saman lia tha. 

Khush-kismati se technology ne is problem ka hal bhe nikal lia or 1 shandar ap banai jis ka naam Udhaar rakha, takey jo dukaandar Udhaar par saman bechte hain, un ke nuqsaan ko kam se kam kia jae or Udhaar par business ko asaan bnaya jae.

Udhaar App 1 asaan hal hai apne business ko nae oonchaion tak pohchane ke lye or munafa barhane ke lye.

Udhaar App ke features 1 dukaandar ki zarurat ke mutabik design kiye gae hain jinge istamal karna behad asaan hai. Ye App sirf English mai he nahi, balke Urdu or Sindhi zuban mai bhe available hai takey pure Pakistan ke customers asaani se istamal kar saken. Mazeed languages kuch time bad launch ki jaengi. 

Udhaar App ko customers online or offline use kar sakte hain, or verification code ke zariye apna data mehfooz rakh sakte hain.

Is ke ilawa Udhaar ke tracking feature ke sath customers ki kharidari ka waqt, tareekh, saman ki details or payment details bhe check kar sakte hain, takey payment mai delay na ae or ap rahe mehfooz har tarah ke fraud se. 

Khata register ya diary par note karna matlab pathar par lakeer. Yani kisi tarah ki galti ki koi gunjaish nahi. Udhaar app deti hai dukandar ko pura control. Apni entry ko edit ya change karen sirf 1 click par. 

Udhaar App 1 jadeed solution hai Pakistani businesses ke liye jise istamal karna behad asaan or features la jawab hain, jo or kisi app mai nahi. 

Aen dekhte hain is App ke mazeed kuch features.

 

Apne Business Ki Malyat Manage Karen Asaani se

Rozana hisaab kitaab ya audit har business mai zaruri hai, lekin agar dukandar khud kare to zyada mushkil or bohat waqt lag sakta hai. Ap ka business mushkilat ka samna kar sakta hai agar payment na mile, time par mosol na hon, ya customer default kar jae. Udhaar App se track karen customers ki Udhaar payment ko or rakam wasool karen time par

 

Choti Bari Galation Se Jaan Churain

Bina kisi credit management ke, business mai hisaab kitaab manually ya dasti tor par karna parta hai, jisse galati ke chances barh jate hain. Hala ke masla time ka nahi, lekin agar itna time lagane ke bawajood galati kar bethe to saari mehnat zaaya. Udhaar app ke zariye ap ko dukaan par naya banda rakhne ki bhe zarurat nahi or galati ke chances bhe bilkul kam hain. 1 digital application istamal karne ka matlab ap ka tamam data mehfooz hai or ap jab chahe usse seconds mai check kar sakte hain, kabhi bhe, kahi bhe.

 

Behter Security

Customers ka data sanbhalna 1 bohot bara risk hai jisse Udhaar App bakhubi anjaam deta hai. Udhaar app customers ka tamam data password ke sath cloud base (internet) par mehfooz rakhta bilkul 1 bank ki tarah. 

Udhaar App 1 paperless process hai, yani bina kisa paper pen ke kharche ke. Entry daalte he 1 free SMS customer ko milta hai jis mai Udhaar ki saari details hoti hain. Is app se na sirf pese bachte hain, balke waqt bhe kafi bachta hai takey ap apna business mossar tarekay se chala saken. Bas ap rakhen apna khayal, Udhaar App rakhe ap k khate ka khayal. 

Recommend Posts