Skip to content

Medical Store ki Zakat Calculate Karna Hua Asaan Udhaar Zakat Calculator se.

Medical Store ki Zakat Calculate Karna Hua Asaan Udhaar Zakat Calculator se.

Calculating zakat for medical stores

Zakat dena islam mein ek ehm fareeza hai. Her musalman per farz hai k who apnay assets k hisab se her saal zakat ada karay. Zakat calculate karnay k liye hamain apni personal wealth or karobari assets ko hisab mein lena parta hai. Udhar khata book app mein majood Zakat Calculator se ap durust, asaan aur mahfooz tareekay se zakat ka hisab kar sakte hain. Her karobar ki tarhan medical store owners ko bhi apni dukaan ki assets per zakat ada karni hoti hai. Udhaar digi khata app k zariye ap apni inventory pe lagnay wali zakat ko intehai assani se aur durust andaz mein calculate karsakte hain.

Ek medical store ki zakat ka hisab karte hue un sub products ko hisab mein lena parta hai jinhain dubara bechnay ki niyat se khareeda hou aur who apki dukaan mein abhi maujood houn. Ek medical store mein mukhtalif products hotay hain jese k dawayein, medical equipment, syringes, aur deegar roz marah ki ashiyah bhi dukaan mein maujood hoti hain. Udhaar zakat calculator k zariye ap in tamam products ko alag alag app mein list kar sakte hain, in sub ki miqdaar aur maliyaat daal kar her product ki total cost nikal sakte hain. Is tarhan ap ek ek kar k tamaam products ko upload kar k unki qul maliyat calculate karsakte hain aur Udhar zakat calculator us total maliyat k zariye shariah k hisab se apko zakat ka amount calculate kar k show kardeta hai. Is k sath sath, Udhar Khata app mein ap apni personal assets ki bhi qul maliyat, dukaan k assets ki maliyat mein add karsakte hain. Personal assets mein apki deegar cheezain jese personal savings, gold, silver, property, etc., sub shamil hojata hai. Jab ab Udhaar zakat calculator mein dukaan ki tamam inventory ki details add kardete hain tou Udhaar zakat calculator apko apni personal assets ki qul maliyat add karnay ka option bhi deta hai. Ap wahan maliyat darj kar k personal aur karobar pe lagnay wali qul zakat asaani se calculate kar sakte hain.

Udhaar Book App zakat calculate karnay ka ek durust, asaan or mehfooz tareeqa hai. Ap bhi fauran apni zakat calculate karain aur mustahiq logo tak phounchayein. Ap ki zakat se bht se lougo ka aur society ka faida hosakta hai.

Recommend Posts